सोमवार, 26 नवंबर 2012

पहले कभी (Pahle kabi) -गज़ल

Jis tarh dekha hai ab phle kabhi dekha n tha,
Itani sidhat se use maine kabhi chaha nhi tha.

Dekhte hin dekhte najron se oojhl ho chali,
Abhi to ji bhr ke maine use dekha bhi n tha.

Janta tha ki yah honi hai judai aek din,
Vah achank bichhud jayegi yah socha n tha.

Pahle pane ki khushi thi ab khone ka hai gam,
Khavabonki duniya main gam dil dhadka n tha.

Dard un aankhon ka jo takte huae pathra gayi,
Matam un aansun ka jo nyno se dhlka n tha.

Aaene se khwab mere reja-reja ho gye,
Main tilsmi bandison ko todkr nikla n tha.

Kya tere bite huae anmol chhn nind ke spne ho gye,
Main to moti tha tere dil ka koai tinka n tha.

Silsila dr-silsila hai sb shrabe jindgi,
Jahr chakhne ka yah "Raj" ka tajurba phla n tha.
"Anwar mahmud khalid"



Place Your Ad Code Here

1 टिप्पणी:

आपकी मार्गदर्शन की आवश्यकता है,आपकी टिप्पणियाँ उत्साहवर्धन करती है, आपके कुछ शब्द रचनाकार के लिए अनमोल होते हैं,...आभार !!!